Header Notification

SAHARA CHAHIYE SARKAR ZINDAGI KE LIYE NAAT LYRICS

sahara chahiye sarkar zindagi ke liye
tarap raha hu madine ki hazari k liye

mera dil tarap raha hai mera jal raha hai sina
ye dawa wahi milegi muje le chalo madina
main marize mustafa  hu muje chhero na tabibo
meri zindagi jo chaho muje le chalo madina
nahi malo zar to kya hai main garib hu yahi na
mere ishq mujko le chal tuhi janibe madina
ikbaale na-tawa ki bas ek ilteja hai
rahe zindgi salaamat main bhi dekhalu madina
saba madine tu ja ke nabi se keh dena
taras rahi hain ye aankhe teri gali ke liye
tarap raha hu madine ki................

ek roz hoga jana sarkar ki gali mai
hoga wahi thikana sarkar ki gali mai
kabhi ho hansi taswwur kabhi khud main jau chalkar
rahe yu hi aana jana sarkar ki gali mai
go paas kuch nahi hai lekin ye dekh lega
ek din muje zamana sarkar ki gali mai
dil mai nabi ki yande lab par nabi naate
jana to aese jana sarkar ki gali mai
samzenge hum nitazi unki ki karam navazi
nasib walo mai mera  bhi naam ho jae
jo zinagi ki madine mai shaam ho jae
sahara chahiye sarkar.............

Post a Comment

1 Comments