Header Notification

Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha naat lyrics

Sare La-Makan se talab hue
Su-e-Muntaha Wo chale Nabi
Koi had hai Unke Ururz ki
Balagal Ulabi Kamalihi

Hai saf-arah sab Hoor Malak
Aur Gilma Khuld sajate hein
Ek dhoom hai Arshe Aazam par
Mehman Khuda ke aate hein

Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha

Ya Mustafa Ya Mujtaba
Salle Ala Mere Aaqa

Hai Aaj Falak Roshan Roshan
Hein Taare bhi jagmag jagmag
Mehboob Khuda ke aate hein
Mehboob Khuda ke aate hein

Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha

Wo Sarware Kishware Risalat
Jo Arsh par Jalwaghar hue the
Naye Nirale Tarab ke Saman
Arab ke Mehman ke liye the

Waha falak par yaha zameen mein
Rachi thi shadi machi thi dhoomein
Udhar se Anwar hanste aate
Idhar se Naf'hat uth rahe the

Utar kar Unke Rukh ka sadqa
Wo noor ka bant raha tha badah
Ke Chand Suraj machal machal kar
Jabeen ki khairat mangate the




Wahi to ab tak chhalak raha hai
Wahi to Joban tapak raha hai
Nahane mein jo gira tha pani
Katore Taaron ne bhar liye the

Bacha Jo Talwon ka Unke Dhowan
Bana Wo Jannat ka Rango Rogan
Jinhone Dulha ki payi Utran
Wo Fool Gulzare Noor ke the

Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha

Qurban hai Shano Azmat par
Soye hein chain se bistar par
Jibrile Ameen hazir hokar
Me'raj ka Muzda sunate hein

Jibril Buraq saja kar ke
Firdose Bari se le aaye
Barat Firishton ki aayi
Me'raj ko Dulha jate hein

Hai saf-arah sab Hoor Malak
Aur Gilma Khuld sajate hein
Ek dhoom hai Arshe Aazam par
Mehman Khuda ke aate hein

Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha

Gubar ban kar nisar jaaun
Kahan ab Us rah-guzar ko paoon
Hamare Dil Hooriyon ki Aankhein
Firishton ke par jahan lage the

Bahar hai Shadiyon Mubarak
Chaman ko Aabadiyan Mubarak
Malak Falak Apni Apni leh mein
Ye Ghar-ana Dil ka bolte the

Khushi ke Badal Umat ke aaye
Dilon ke Taoos rang laye
Wo Nagma-e-Naat ka sama tha
Haram ko khud Wajd aa rahe the

Tabarakallah hai Shan Teri
Tuji ko Zaiba hai be-Niyazi
Kahin to Wo Joshe Lan-Tarani
Kahin Takaze Wisal ke the

Badh Aye Muhammad Karin ho Ahmed
Qarib aa Sarware Mumajjad
Nisar Jaun Ye Kya Nida thi
Ye Kya Sama tha Ye Kya Maze the

Hijab Uthne mein lakhon parde
Har Ek Parde mein Lakhon Jalwe
Ajab gadi thi ke Wasle Furkat
Janam ke bichhde gale mile the

Wahi hai Awwal Wahi hai Aakhir
Wahi hai Batin Wahi hai Zahir
Usi ke Jalwe Usi se Milne
Usi se Uski taraf gaye the

Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha

Aqsa mein Sawari jab pahunchi
Jibreel ne badh ke kahi Takbeer
Nabiyon ki Imamat ab badh kar
Sultane Jahan farmate hein

Wo Kaisa hasin manzar hoga
Jab Dulha bana Sarwar hoga
Usshaq Tasawwur kar kar ke
Bas rote hi reh jate hein

Hai saf-arah sab Hoor Malak
Aur Gilma Khuld sajate hein
Ek dhoom hai Arshe Aazam par
Mehman Khuda ke aate hein

Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha

Namaze Aqsa mein tha yahi sirr
Ayan ho mana-e-Awwal Aakhir
Ke Dast basta hein pichhe hazir
Jo Saltanat aage kar gaye the

Nabi-e-Rehmat Shafi-e-Ummat
Raza pe Lillah ho Inayat
Ise bhi In Khil'aton se hissa
Jo khas Rehmat ke waan bate the

Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha

Ya Mustafa Ya Mujtaba
Salle Ala Mere Aaqa

Allah ki Rehmat se Dilbar
Jaa Pahunche Dana ki manzil par
Allah ka Jalwa bhi dekha
Deedar ki lazzat paate hein

Me'raj ki Shab to yaad rakkha
Fir Hashr mein kaise bhulenge
Attar Isi ummid pe Ham
Din Apne guzare jate hein

Hai saf-arah sab Hoor Malak
Aur Gilma Khuld sajate hein
Ek dhoom hai Arshe Aazam par
Mehman Khuda ke aate hein

Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha Dulha
Mere Muhammad Pyare Bane hein Dulha

Post a Comment

0 Comments