Chand Tukde hua Duba Suraj uga
Ped Chalne laga Dekhte Dekhte
Aur Abu Jahal ke Hath mein Kankaron
Ne Bhi Kalma Pada Dekhte Dekhte
Kabr mein tah Andhera bada Khauf tha
Mein Akela tha Dil tha larajta hua
Wo to kahiye ke Meri Madad ke liye
Aa gaye Mustafa Dekhte Dekhte
Katl karne ki Niyyat se aaye Magar
Rooh-e-Paake Nabi par padi Jab Nazar
Mujko Kalma pada dijiye Ya Nabi
Ye Umar ne kaha Dekhte Dekhte
Ham Gunahgar Mehshar ke Din the Hazeen
Koi Bachne ka tha Rasta hi nahin
Aapki Ek Chashme Karam kya Uthi
Babe Jannat khula Dekhte Dekhte
Rok lete hein Hukme Khuda se Safar
Jibraile Ameen dekh kar Apne Par
Paar kar lete hein Mere Aaqa Magar
Sidratul Muntaha Dekhte Dekhte
Baap Karbal mein Jis dam hai lekar chala
Pusht par Lasha-e-Akbare Be nawa
Sabre Ayyub bhi Rashk karne laga
Sabr Shabbir ka Dekhte Dekhte
0 Comments