Header Notification

AJROKUM ALA ZAHRA LYRICS


Aza ka raasta hi siraat e mustaqeen hai
Siraate mustaqeem hi aza ka raasta hai
Bichaogay jo farsh e ghum duein deingi Fatima
Barozs hashr dekh na balaein lengi Fatima
Karo ye kaare haq ada ke ajr deingi Fatima

Ajrokum Ala Zahra x2
Mawalaati Mawalaati Mawlaati Ya Zahra Ya Zahra
Ajrokum Ala Zahra X2


Inkaar e shahe deen mein hai dam deen e khuda ka
Ab sar nahin ho sakta hai kham deen e khuda ka
Hai majlis o matam se bharam deen e khuda ka
Ooncha hau isi ghum se alam deen e khuda ka
Saari dunya ko bataengay ye hum
Baais e azm hai Shabbir ka ghum
Chorus


 Jab farshe aza e shahe mazloom sada de
Jab waqt e musibat koi maghmoom sada de
Ya dehre mein haq se koi mehroom sada de
Ya apna samjhkar koi masoom sada de
Ya Ali kehke barhadijiey haath
Dauriye naraey labbaik ke saath
Chorus


 Har ek ko nahin milta ghumme sibte payamabar
Har aankh ka ansoon bhi nahin hota hai gauhar
Ashoor ke din keh gaye ye hurre dilawar
Har koi nahin hota muqaddar ka sikandar
Aadmi bas wo sharaf paaeyga
Sar jhukakar jo idhar aaeyga
Chorus


 Nafson ki taharat ke liye kijeay matam
Mazloom se qurbat ke liye kijeay matam
Zalim ki mazammat ke liye kijieay matam
Makhsoos ibadat ke liye kijeay matam
Zindagi deedae purnam ke liye
Waqf kar deejeay matam ke liye
Chorus


 Shabbir se hai pyaar to izhaar bhi kijeay
Iszhar mein lazzat hai sare daar bhi kijeay
Beyyat jo koi maange to inkaar bhi kijieay
Ye kaare numaya sare darbaar bhi kijieay
Zinda rehne ki tamana hai agar
Ishq mein jaan ki parwaah nahin kar
Chorus


Bachhey ko yeh maan kehtay huay karti hai taiyyar
Dunya mein tera naam ho ay haq ke parastaar
Rauzon ki taraf aankh uthaeyn na jafakaar
Daaish ki kamar tor deyn ay sheh ke azadar
Kaar gar ho na sitam gaar ka waar
Baand le sar se kaffan phir ek baar
Chorus


 Ashoor ki shab shamma jo sarwar ne bujhaee
Har chahanay walay ko nazar aai khudaai
Aapas mein yehi kehtay thay sab haq ke fidaaee
Kiya is ke siva dein koi chaahat ki safaai
Koi shikwa ya shikayat na karein
Jo jahan baitha hai wo baitha rahay
Chorus


 Asif ghume sarwar mein kalam jabbhi chalao
Kiya maqsade shabbier hai dunya ko batao
Paigham shahe deen ka Mahum jo sunaao
Mazloomeye shabbier ka ahsaas dilaao
Haq ki tehreek na rukne paaye
Jaan jaati hai to be shak jaaey

Post a Comment

0 Comments