Header Notification

Ay Allah Kay Bando! Mout Kop Yad Rakho!

Chadar Aag Ban Kar Jal Rahi hay

Hazrat Abu Rafay’ 

صلى_الله_عليه_وآله_...
Kareem Madinah-e-munawwarah kay qabrustan “Baqee’-e-Gharqad” kay qareeb say guzray to farmaya: Uff, Uff,
Uff. Is waqt Aap kay sath mayn akela hi tha. Mayn
nay ‘arz ki: Ya Rasool Allah Mayray maan Baap
Aap par qurban! Kiya bat hay? Aap nay irshad
farmaya: mayn nay is qabar walay ko fulan qabilay par ‘aamil
(ya’ni zakat wusool karnay kay li`ay) muqarrar kiya tha. Us
waqt is nay ayk chadar mayn khayanat kit hi aur ab mayn
daykhta hunk eh wohi chadar aag ban kar usay jala rahi hay. 

shikar ho kar andhayri qabar mayn utar jata hay. Yad rahay! 60 par banda itna ‘arsa hi zindah reh pata hay aur phir mout ka Ziyadah say ziyadah 60 ya 70 sal zindah reh layn gay’aam taur ’umar panay ki ummed par ji`ay bhi to kitna ji`ayn gay? taubah na karnay par uksa`ay to yad rakhye! Agar aap lambi aur aur ziyadah dayr zinda rehnay ki ummed dila`ay aur abhi ho pa`ay ga. Ho sakta hay shaytan aap ko lambi ‘umar panay ja`ay warna khuda ki qasam! Qabar ka ‘azab bardasht nahin ga? Lehazah ‘aafiyat isi mayn hay keh abhi say taubah kar li say un ki qabar mayn aag bharka di ga`ee to unka kiya banay dunya say rukhsat ho ga`ay aur phir khayanat karnay ki wajah karnay walay sochayn keh agar wo bhi bagahyr taubah ki`ay is chor kar apnay gharon ko chalay ja`ay gay. Isi tarah khayanat bator bator kar sharabayn pitay thay unhayn qabar mayn tanha kar khatay rahayn gay aur un kay wo dost jo un say paysay samp musallat kar di`ay ja`ayn gay jo unka gosht noch noch narazi lay kar qabar mayn pohnchay to un par ayk nahin do ga`ay aur Allah Pak aur uskay piyaray Habeeb 

ya 70 saal zindah rehnay ki bhi ko`ee guaranty nahin kiyun keh ayk din ka bacha bhi to marta hi hay. Agar aap bolayn keh hamara jism warzishi hay, hum karatay ka fun bhi jantay hayn, hamayn aslaha chalana bhi ata hay lehazah sehat mand honay aur mazbot jisam rakhnay ki wajah say abhi hamayn mout kahan aa`ay gi? To yad rakhiye! Aap ki zindagi ka ko`ee bhi 

muhafiz nahin hayaur jab Malak-ul-Mout 
Rooh qabz
karnay kay li`ay tashreef latay hayn to ko`ee un ka rasta nahin rok sakta, Allah na karay agar abhi zalzalah aa ja`ay to hazaron balkeh lakhon log zameen mayn dafan ho ja`ayn gay, aa`ay din dunya mayn saylab, zalzalay aur qudrati afaat aati rehti hayn jin say banday ko na sehat bacha pati hay aur na jawani aur aslaha, yun daykhtay hi daykhtay bandah mout kay ghat utar jata hay. 
Mut thehri aanay wali aa`ay gi
Jan thehri Janay wali ja`ay gi
Rooh rag rag say nikali ja`ay gi
Tujh pay ik din khak dali ja`ay gi
 Qabar mayn mayyit utarni hay zaror
Jaysi karni waysi bharni hay zaror 
Mout aa`ee pehelwan bhi chal di`ay Khobsurat nau jawan bhi chal di`ay  
Qaflay kay qaflay rukhsat ho`ay
Khak mayn saray kay saray mil ga`ay 
Qabar rozana ye karti hay pukar  
Mujh mayn hayn kiray makoray bay shumar
Yad rakh mayn hon andhayri kothri 
Tujh ko hogi mujh mayn sun wehshat bari  
Mayray andar tu akela aa`ay ga
Han! Magar a’mal layta aa`ay ga 
Pehelwanon ko pachara mout nay
Khayl kitnon ka bigara mout nay 
Hathi jaysay bhi pacharay mout nay Kaysay kaysay ghar ujaray mout nay 

Afsos Hamayn Mout Ka Ehsas Nahin Hota

Afsos! hamayn mout ka ehsas nahin hota aur hum sirf rasmi
taur par bayan sun kar muntashir ho jatay hayn. Agar janwaron
ko mout kay baray mayn itna ma’lom hota jitna hamayn
ma’lom hay to ko`ee janwer mota tazah na hota, chuna cheh
Sarwar-e-Zeshan, do jahan kay Sultan 
ka farmane-nasehat nishan hay: mout kay baray mayn jo kuch tumhayn
ma’lom hay agar janwaron ko ma’lom ho ja`ay to tum un
mayn say kisi farba janwar ko na kha sako.
 Ya’ni janwar mout
kay khauf say dublay aur patlay ho jataylaykin insan mout say
bay khauf ho kar hathi ka bacha ban kar ghomta, khob khata
pita, jan banata aur hans hans kar gunah karta hay halan keh jo
hanstay ho`ay gunah karay ga wo rotay ho`ay jahannum mayn
dakhil ho ga, jaysa keh Hazrat Ibn-e-‘Abbas
farmatay
hayn:
 jo hansta howa gunah karta hay wo rota howa jahannum
mayn dakhil ho ga.
Abhi aap nay yeh Hadees-e-Pak parhi keh “mut kay baray
mayn jo kuch tumhayn ma’lom hay agar janwaron ko ma’lom
ho ja`ay to tum un mayn say kisi farba janwar ko na kha sako “ 

is ziman mayn ayk ount ka waqay’ah parhi`ay aur apnay li`ay ‘ibrat ka saman kiji`ay, chuna cheh

Mout Ki Fikar Say Ount Ki Mastiyan Jati Rahin

dubla patla ho gaya. Chund din ba’d Hazrat ‘Esa Rooh-Ullah khana pina chor diya, us ki sari mastiyan jati rahin aur wo ga`ay, ab us ount par mout ki aysi fikar sawar ho`eek eh us nay hay. Yeh farma kar Hazrat ‘Esa 

 jab dubarah wahan say guzray to daykha keh wohi ount dubla patla ho chukka hay aur tamam ounton say alag thalag ay jagah khara hay. Aap 

Piyaray piyaray islami bha`iyo! Daykha aap nay! Ount jo ayk janwar hay usay jab mout kay baray mayn pata chala to us nay khana pina chor diya aur uski sari mastiyan jati rahin halankeh us kay li`ay na naza’ ki sakhtiyan hayn aur na hi qabar ka ‘azab aur jahannum ki holnakiyan hayn, albatta ba’az janwar jahannum mayn bhayjay ja`ayn gay laykin ‘azab panay kay 
li`ay nahin balkeh ‘azab daynay kay li`ay aur unhayn wahan ko`ee takleef na hogi.

Ayk taraf to mout kay khauf say janwaron ki yeh halat hay jabkeh dusri taraf hum insanon aur musalmanon ki yeh sorat-e-haal hay keh is bat ka yaqeen honay kay bawajod ghaflat ka shikar hayn keh hamayn mout aa`ay gi qabar mayn pohncha`ay gi aur achay buray a’maal ka badla dila`ay gi. Agar vheh kabhi kabhar sunnaton bharay ijtima’ mayn riqqat angayz bayanaat sun kar hamayn apni mout ka ehsas hota hay magar wo jald hi khatam ho jata hay. Ba’az log sir jhuka kar tawajjo say bayansuntay aur apnay gunahon ko yad kar kay kurhtay hayn magar bayan khatam ho`ay abhi thora sa waqt guzart hay to wo hasb-e-ma’mol apnayu doston kay sath khob hansi mazaq kar rahay hotay hayn aysay log ‘am taur par aglay din namaz-e-fajar bhi nahin parhtay, agar josh mayn aa kar namaz-e-fajar parh laytay hayn to zohor nahin parhtay aur aglay din sari namazayn parh laytay hayn to dusray din namaz-e-fajar kay li`ay nahin uthtay, yun wo dubarah ghaflt ka shikar ho jatay hayn.

Qabrayn Andar Say Ayk Jaysi Nahin Hotin

Piyaray piyaray Islami bha`iyo! Hum jab qabrustan jatay hayn to hamayn sab qabrayn upar say bazahir ayk jaysi ma’lom hoti hayn keh sab ayk hi tarah kay matti kay today hotay hayn laykin yad rakhiye! Yeh andar say ayk jaysi nahin hotin, kiyun keh andar say kisi ki qabar bagh-o-bahar aur kisi ki aag hi aag hoti hay, ko`ee apni qabar mayn Allah Pak ki rahmaton kay mazay lot raha hota hay aur ko`ee ‘azab ka shikar hota hay, 
chuna cheh Hazrat-e-Muhammad Bin Simak nay ayk bar qabrustan ko daykh kar farmaya: ay logon in qabron ki khamoshi say dhoka mat khana yeh chup chap hayn, na! na! un kay andar basayra karnay walay sab ayk jaysay nahin, in mayn say ba’az bohat taklef mayn hayn aur ba’az rahat mayn hayn.1 Har ‘aqalmand ko chahi`ay keh qabar mayn dakhil honay say pehlay isay bohat ziyadah yad karta rahay, Hazrat-e-Sufyan Sori
ka irshad hay: jo shakhs qabar ko bohat yad karay 
ga wo usay Jannat kay ayk bagh ki manind pa`ay ga aur jo us say ghafil ho gay wo usay jahannum ka garha pa`ay ga.
Aah! Hum ghafileen ka kiya banay ga! Hamayn to mout ka zikir sunna pasand hi nahin hay, aap ko bohat say log aysay bhi milayn gayjo ye keh kar sunnaton bharay ijtima’aat mayn nahin aatay keh dawat-e-islami walay mout, mout kar kay hamar mod kharab kar daytay hayn. Ayson kay li`ay ‘arz hay keh hamaray aslaaf bhi apnay khutbon mayn logon ko mout ki yad dilaya kartay thay, chuna cheh 

Ay Allah Kay Bando! Mout Kop Yad Rakho!

Ameer-ul-Mo’mineen Maula Mushkil Kusha, Hazrat-e-‘Ali-ul-
Murtaza Shayr-e-Khuda
nay ayk bar kuch is tarah 
khutbah irshad farmaya: Ay Allah Kay bando! Mout ko yad rakho aur us kay li`ay taiyari karo keh us say bachna na mumkin hay, agar tum us say muqabla karo gay to ye tumhayn daboch lay gi aur bhagna chaho gay to pakar lay gi. Mout tumhari payshani mayn paywast kar di ga`ee hay lehazah ‘azab-e-Mout say najat ka ko`ee zari’atalash karo. Mout ki taraf paysh qadmi karo keh qabar tumhari muntazir hay aur wo
tumhayn jald say jald apnay pas bula rahi hay. Yad rakho! Qabar ya to Jannat ka bagh hay ya jahannum ka ayk garha.
mayn ja kar pehlay salam karna phir yeh ‘arz karna Mufti Ahmed Yar Khan 
daykhtay pehchantay hayn aur un ka kalam suntay hayn warna ja`ay. Is say ma’lom howa keh murday bahir walon ko Sunnat hay, is kay ba’ad ahl-e-quboor ko esal-e-sawab kiya 
unhayn salam ja`iz nahin hota kiyun keh jo suntan na ho ya slam ka jawab na day sakta ho usay salam karna ja`iz nahin, daykho sonay walay aur namaz parhnay walay ko salam nahin kar saktay.1 Pata chala qabron walay hamara Salam suntay bhi hayn aur uska jawab bhi daytay hayn.2 Yad rahay! Sirf musalman hi nahin balkeh kuffar bhi marnay kay ba’ad suntay aur daykhtay hayn. Neez ‘aam murdon kay muqablay mayn 
buzrugan-e-deen hi apni qabron mayn ziyadah dor say 
suntay aur daykhtay hyanmaslan agar hum yahan say Baghdad 

walay murshid, Huzoor-e-Ghaus-e-Pak ko pukarayn 
to wo hamri awaz sun layn gay kiyun keh wo Allah kay waliyon kay sardar hayn! Daykhiye ab teli communication itna mazbot ho gaya hay keh hum saat samundar par apnay dost say bat cheet kar laytay hayn aur wo hamari awaz sun layta hay halan keh bech mayn tarayn waghayrah nahin hotin to jab scincesi conection itna ziyada power full hay to rohani connection ka ‘aalam kiya hoga!  
Marnay kay ba’ad sab ki sunnay aur daykhnay ki taqat barh jatio hay aur marnay wala apni qabar par anay walon ko daykh bhi raha hota hay aur un ki awaz bhi sun raha hota hay. Daykhiye! Agar hamayn qabar mayn na ‘azab diya ja`ay aur na hamari qabar mayn samp bichu aa`ayn sirf hamayn qabar mayn band kar diya ja`ay to qayamat qa`im honay tak hazaron sal ka ‘arsa hum andhayri qabar mayn kaysay guzarayn gay! Hum qabar mayn na kisi dost kay pas ja sakayn gay aur na kisi ko apnay pas bula sakayn gay, na hamari maan aa`ay gi aur na hamara baap aa`ay ga, agar baap aa`ay gab hi to baycharah fatiha parh kar aur idhar udhar qabron ko daykh kar wapis chala ja`ay gaur hum usay apni qabar mayn hasrat bhari 
nazron say daykhtay reh ja`ayn gay. Zara ghaur to kiji`ay! Agar hamayn kisi ‘aali shan banglay mayn qayd kar diya ja`ayaur wahan hamayn zindagi ki zarorat ki har chez day di ja`ay, maslan battiyan pankhay air condition rom, narm narm gadaylay, khanay pinay ki ashya` waghayrah sab sahuliyat muyassar hon magar is banglay mayn hum akaylay hon aur hamaray pas kisi kay anay Janay par pabandi ho ti yaqeen maniye! Hum us mayn ayk do ya teen din hi teher pa`ayn gay balkeh hum mayn say ba’az to aysay bhi hon gay jo ayk din bhi tanha rehna bardasht na kar sakayn gay. Daykhiye! Jab aysy aasa`ish walay banglay mayn hum akelay ayk din guzarmnay kay li`ay taiyar nahin to qabar mayn sekron saal akelay kaysay reh pa`ayn gay! Yad rakhiye! Aaj hum dunya ki ranginiyon mayn phans kar qabar ko bholay baythay hayn jab keh kaha jata hay keh qabar rozana 5 martabah pukar kar kehti hay: ay aadami tu mayri peth par chalta hay jab keh mayra payt tayra thikana hay. Ay adami! Tu mayri peth par hansta hay jald hi mayray andar aa kar ro`ay ga. Ay adami tu mujh par haram khata hay’anqareebmayray payt mayn tujhay kiray kha`ayn gay. Ay adami! Mayri peth par khushyan manata hay ‘anqareeb mujh mayn ghmgeen ho ga Khuda ki qasam! Is qabar ki pukar mayn ‘ibrat hi ‘ibrat hay, ay kash! Hamayn ‘ibrat naseeb ho ja`ay aur is say pehlay keh yeh shor machay keh fulan ka inteqal ho gaya, jaldi jaldi ghussaal ko bula la`o, jaldi jaldi kafan lay aa`o, aur jaldi jaldi qabar khodnay ka intezam karo. Phir ghussaal takhta utha`at chala aa raha ho, hamayn ghusul diya ja raha ho, kafan pehnaya ja raha ho hamaray li`ay qabar khodnay ka intezam kiya ja raha hoaur phir hamayn andhayri qabar mayn utar diya ja`ay to is say 
pehlay hi mout ki yad ko paysh-e-nazar rakhi`ay aur jaldi jaldi apnay gunahon say sachi taubah kar liji`ay.

Kar lay taubah Rab ki rahmat hay bari
Qabqr mayn warna saza ho gi kari 

Mout Ko Yad Rakhnay Kay Tariqay

Piyaray piyaray islami bha`iyo! Mout ki yad ko paysh-e-nazar rakhnay kay chand tariqay paysh-e-khidmat hayn, ghaur say parhiye aur apnay li`ay mout ki yad ka saman kiji`ay: 

Janazon mayn shirkat kiji`ay
Qabrustan Janay ki ‘adat banai`ay
Mout kay mozo’ par honay walay bayanaat sun`ay
’Ibrat nak waqe’aat ka mutal’a kiji`ay
hay.“ 1mayn hay: ya’ni “mout nasihat kay li`ay kafi say bachnay ka zehen bhi banay ga keh Hadees-e-Pak yad rahay gi aur jab mout yad rahay gi to aap ka gunahon wa’z-o-nasihat ka silsilah bhi hota hay to yun aap ko mout madani qaflon mayn mout ki taiyari kay hawalay say madani qaflon mayn safar ko apna ma’mol bana liji`ay, ’Aashiqan-e-Rasool ki deeni tehreek dawat-e-islami kay kiji`ay keh aaj kay ba’ad
hamari ko`ee namaz qaza liji`ay, apna namazon ka bhi zehen bana liji`ay aur sachi niyat kay li`ay madani qaflon mayn safar ikhtiyar karnay ki niyat kar Lehazah har mahinay kam az kam 3 din sunnaton ki tarbiyat 
nahin ho gi, hamara mah-e-ramzan ko ko`ee rozah qazah nahin ho ga, hum filmayn dramay daykhnay aur ganay bajay sunnay say bachayn gay, hum walidayn ko nahin sata`ayn gay, musalmanon ki chughliyan nahin kha`ayn gay, musalmanon ki ghibaton tohmaton aur ilzam tarashiyon say bachayn gay, musalmanon ki aabro rayzi nahin karayn gay, aur un kay ‘ayb chupa`ayn gay. Neez yeh bhi niyat kar liji`ay keh hum dawat-e-islami kay haftawar sunnaton bharay ijtima’at mayn pabandi say shirkat karayn gay. 
Allah Pak hamayn khob khob naykiyan karnay. Gunahon say bachnay aur marnay say pehlay qabar-o-hashar ki taiyyari karnay ki taufeeq ‘ata farma`ay.  

Post a Comment

0 Comments