Header Notification

Takbeer e Tashreeq

Eid Ki Takbeer – Takbeer-E-Tashreeq
 
Takbeer-E-Tashreeq 9 Zill Hijja Ki Fazr Se 13 Zil Hijja Ki Asr Tak ( Chand Ki 9 Tarikh Ki Fazar Se Chand Ki 13 Tarikh Ki Asar Tak ) Har Farz Namaz Jamaat Ke Baad Baa-AAwaje Buland Kahna Chaiye .

Hazrat Ali Radiyallahu Taala Anhu Ka Yahi Dastur Tha Hazrat Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Or Tamam Hazrat Sahab e Keraam Iski Badi Pabandi Karte The .

Takbeer e Tashreeq 
Allhu Akbar Allahu Akbar La-Ilaha Illallaho W allhu Akbar Allhu Akbar Wa Lillahil Hamd

Iski {Takbeer e Tashreeq} ki Gair Mamuli Ahmiyat Ka Andaza Is Baat Se Lagaya Ja Sakta Hai Ki Isme Hazrat Ibrahim Hazrat Ismail Or Hazrat Jibrael Alehissalaam Ke Kalimaat Ka Majmuaa Hai.

Mankul Hai Ki Jab Hazrat Ibraheem Alehisslam Ne Hazrat Ismail Alehissalam Ko Litakar Unke Gale Par Churi Chalane Ka Irada Kiya.

To Alah Paak Ne Hazrat Jibrael Alaihisslam Ko Huqm Diya Ki Jannat Se Ek Dumba Lekar Ibrahee, Alaihissalam Ke Paas Hajir Ho Taki Apne Ki Jagah Uski Qurbani Kare.

Hazrat Jibrael Ne Dekha Ki Wah Apne Bete Ko Lita Chuke Hai . Or Churi Ferne Hi Wale Hai . To Unhone Ba Awaz Buland Allahu Akbar Allhu Akbar Kaha . Taki Unki Tawajjoh Idhar Ho Jaye. Or Churi Ferne Mein Jaldi Na Kare.

Hazrat Ibraheem Alaihisslam Ne Jab Ye Suna . To Unki Khyal Hua Ki Hazrat Jibrael Shyad Bargaahe Khudavandi Se Koi Bashaarat Lekar Aa Rahe Hai. To Khushi Mein Farmaya –

Laa-Ilaha Illallaho Wallahu Akbar . Jab Hazrat Ismael Alaihisslam Ne Ye Dono Aawaze Suni To Unko Khyal Hua Ki Shayad Allah Paak Ki Janib Se Unka FidyaBheja Gaya Gaya Hai. To Unhone Farmaya Allahu Akbar Wa Lillahil Hamd.

Post a Comment

0 Comments