Random Posts

Nohay 2020 | ABHI MAIN ZINDA HOON LYRICS| New Noha 2020 /1442 | New Imam Hussain Noha



Rehley Faraz sey jis ghari Quran girgaya Zakhmo sey choor choor tha, aur rang zard tha Haibat sey koi shakhs na, nazdeek jaata tha Zinda hai ya kay margaey, yeh Kaisay ho pata, Bola yeh Ibne Saad (LA) agar jaan na hai yeh, doraado ghorey Khaimay ki jaanib Hussain kay Jis dam sada suni dil e Zahra kay chayn ney, Ghabra kay aankh kholdi bekas Hussain ney, Yeh bolay Shah e Zaman, kohnio kay bal uth kar Na jaao khaimay ki jaanib Abhi main Zinda houn Abhi main Zinda houn Na jaao khaimay ki jaanib Abhi main Zinda houn x2 1) Lahu mein faatah e Khaybar, ka Josh baaqi hai Hai choor choor badan, phir bhi hosh Baaqi hai Lagaao aur badan mein, humaaray teer o tabar 2) Agar hai jaana tumhe mujh-ko mar kar jaao, Humaara ajr e Risaa-lat utar kar jaao, Galay pey pehlay meray, aakay pherdo khanjar 3) Zara si sharm karo Shah-zaadiyan hai yein, Tumhaarey pyaarey Nabi, ki navaasiya hai yeh Humaaray khaimo mein jaana, haraam hai tum par 4) Har ik shaheed ko namoo-s ro rahay hongay Humaarey gham mein sabhi, hosh kho rahay hongay Para hai ghash mein mera, laal Abid e Muztar 5) Humaara shayr jo darya, pey gar nahin sota, Tumhaara naam o nishaan, bhi yahan nahin hota, Samajh tey ho mujhe maj~boor o bekas o Muztar 6) Khayaam lutgaey jungal, mein Mahum o Ainee, Hussain kehtay thay Maq-tal mein Mahum o Ainee, Na dekh paoonga main, dard naak yeh manzar

Post a Comment

0 Comments