Ya Ali Ya Ali Ya Ali
Murtaza
Murtaza Mil Gaye, Aur Kiya Chahye
Kufr Hay Ager Kahun Dosra Chahye
Murtaza Kay Liye Fatima Chahye
Yaani Alhumd Ko, Halataa Chahye
Boli Haider Kay Lehjay May Bint E Asad
Hat Jidaar E Haram, Raasta Chahye
Murtaza Aasmano Pey Masroof Hain
Boley Salman Aa, Tujh Ko Kiya Chahye
Bolay Aadam Banalun Main Aadam Abhi
Ya Ali Apki, Khaak E Paa Chahye
Dekho Parda Uthaya To Jalna Nahi
Zikr E Mairaaj Hay, Hosla Chahye
Zooja E Murtaza Say Tawassul Karen
Jis Ko Allah Say, Mashwara Chahye
Iqtedaar E Ali, Ikhtiyaar E Ali
Sochna Choriye, Manna Chahye
Aik Hujrey May Jiski Kati Zindagi
Us'say Kese Kahun? Ghar Baraa Chahye
Ajar Kiya Dun Takallum Jo Bolay Ali
Mene Jhuk Kar Kaha, Bas Dua Chahye
Murtaza Mil Gaye, Aur Kiya Chahye
Ya Ali...

0 Comments