Ye Rab-e-la makaan ka kaisa makaan hai
Teraa rajab ka aaj bhi jis par nishaan hai
Har saal hans ke kehti hai Kaabay ki wo jidaar
Mere labon se aaj Khuda madhakhwaan hai
Rajab ki teraa manaao Ali Ali kar ke
Khushi se naara lagaao Ali Ali kar ke
Tum aaj saaqi-e-Kousar ke naam par sub ko
Sharaab-e-ishq pilaao Ali Ali kar ke
Bataaega yehi sehwan ka chaarasaaz tumhe
Naseeb apna jagaao Ali Ali kar ke
Isi ke waastay Meesam ne khud zabaan di hai
Qaseeda tum bhi sunaao Ali Ali kar ke
Khuda ki hamd karo naam-e-Mustafa le kar
Nabi ki naat sunaao Ali Ali kar ke
Kabhi bhi zulmat-e-haalaat ho agar mehsoos
Wila ke deep jalaao Ali Ali kar ke
Zameen-e-dil pe wilaayat ki kaashtkaari mein
Sana ke beej ugaao Ali Ali kar ke
Najaf ke shah ki choukhat hai ye jahaan waalo
Adab se sar ko jhukaao Ali Ali kar ke
Wo jis ko saani-e-Haider kaha hai Haider ne
Alam usi ka utthaao Ali Ali kar ke
Ali ke ishq mein Meesam taqaiyya kya karna
Aqeeda apna dikhaao Ali Ali kar ke

0 Comments