Ali Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali
dekh sun raz e kun wajh e khaleeq e jahan
Ali Ali Ali Ali Ali Ali Mola Ali
La fatah shair e khuda bus aisa hai Mola mera
Ali Ali Mola Ali
13 rajab ko kabay ki taqdeer yun badli gaye
jab fatima binte asad kabay ki janib berh pari
tab dekh ker maryam yeh manzar eesa sa kehnay lagi
tatheer main haq sa Ali ki maan ko kya rutba mila
Haq nay ALi ko haq diya hai do jahan kay raaj per
saya Ali kay taaj ka hai her nabi kay taaj per
khud Mustafa na dekhi ye shan e ALi mehraj per
keh guftugo Allah Ali k lehjay main hai ker raha
zehnoo main jo na asakay toheed ko woh raaz ali
aur ghaib kay parday main hai Allah ki awaz Ali
daste Ali daste Khuda yani kay Adam saaz Ali
hai kya haqiqat main Ali yeh hashr main khul jayay ga
Hajat rawan mushkil kusha aur saaki e kausar Ali
shabbar ali Sarwar ali asghar ali akbar ali
abbas ali qasim ali hai noor e peghambar ali
her noor ki tasweer main haider hai aks e Kibriya
wajib khuda na ki hai khud jiski wilayat woh ali
chalti hai kul makhlooq per jiski hukumat woh ali
waris nabowat ki hai bus jiski imamat woh Ali
hub e Ali hai dil main to razi nabi razi khuda
dosh e nabi ya arsh ho kaaba ho ya Qruan ho
meezan ho ya qambar ho mimber ho ya maidan ho
salman ya sulaiman ho ho deen ya eeman ho
aisa nahi kuch bhi jahan ho na ali ka tazkira
VIDEO link : https://youtu.be/eFCLfFBLMtA
My YouTube channel Link_ https://www.youtube.com/channel/UCvKU6zxz1-EXKgTY1EepvYw?app=desktop
0 Comments