-->

Khali Jhula Hai Tera | Noha Sehzada Ali Asghar 2019/1441

Jhuley mai khelne wale

Aye mere gunchadahan khali jhula hai tera
Tha ye ek maa ka sukhan khali jhula hai tera

1) raas aaya nhi nhi pardares mai jeena tujhko
Dhundti phirti hai godon mai sakina tujhko
Kaise bhule gi bahen khali jhula hai tera.

2) tujhko tanhai bohot qabr ki tadpayegi
Neend jungle mai mere laal kaha aayegi
Hai yahi runj o mahan khali jhula hai tera.

3) beh gye khwb sabhi khoon ke fawarey mai
Asr se pehle mera chand tha gehwarey mai
Lag gya haye gahan khali jhula hai tera.

4) laut aayega toh lori bhe sunaongi tujhe
Apni aghosh mai main leke sulaongi tujhe
Hogi dinbhar ki thakan Khali jhula hai tera.

5) maa ki aagosh se jati nhi khushbu teri
Usko tasveer nazar aati harsu teri
Dil mai hoti hai chubhan khali jhula hai tera.

6) meri aagosh mai aaja ke sawarun tujhko
Tu hi batla de ke kya khe ke pukarun tujhko
Nazish e shah e zaman khali jhula hai tera.

7) puche mamta se ke kya hota hai aulad ka daagh
Kardia maut ne gul dasht mai jhule ka charagh
Ab kaha koi kiran khali jhula hai tera.

garmi e qabr tujhe aab o hawa kya degi
Ye kadi dhoop tujhe dasht mai jhulsa degi
Phool jaisa hai badan khali jhula hai tera.


9) koi maa aamir o akhtar ye sada deti hai
Apni awaz se jhuley ko hila deti hai
Aa bhe ja jaan e chaman Khali jhula hai tera.
See Also :