Aye merey Bhai Husain.. Aye merey Bhai Husain..
Thodi si agar Mohlat Shaano ko Rasan dedey,
Hamsheer Baradar ke Laashey ko Kafan dedey..
(1) Merey Sar-e-Uryaa'n par hai Khaak Ghareebi ki,
Pardey ke liye Ya Rab suraj ko Gahan dedey..
(2) Sunti hu'n ke Jodey to Aflaak pe bantey hai,
Ya Rab merey Jeetey jee Akbar ko Dulhan dedey..
(3) Zainab ne kaha Ro kar Jalti hai Zamee'n Bhaiyya,
Keh do ke zara Thandak ye Raah e Kathan dedey..
(4) Khat mei'n Likha Sughra ne aajao merey Bhai,
Aisa na ho Ro-Ro ke jaa'n apni Bahan dedey..
(5) Sajjad ka Nouha tha Mar jaau'n jo Ro-Ro kar,
Tadfan ke liye Ya Rab Zahra ka Watan dedey..
(6) Maqtal ke Andherey mei'n Naala tha Sakina ka,
Rasta mujhey Baba ki Khushbu e Badan dedey..
(7) REHAN O RAZA jab tak chalti huvi Saansey hai,
Allah hamey Likhney aur Padhney ka Fan dedey.

0 Comments