Header Notification

NAHIN AYA MERA ASGHAR - NEW NOHAY LYRICS 2018 - MUHARRAM 1440

Pukari madare-muztar nahi aaya mera asghar, (x2)
Hui hai zindagi dubhar nahi aaya mera asghar
nahin aaya mera Asghar 

1) Paresha'n hai tabiyat beqarari badhti jaati hai,
Meri bechargi reh reh ke mujhko khu'n rulati hai,
Kahan khoya mera dilbar nahi aya mera asghar

2)Uthi hai hook si dil me kaleja munh ko aata hai,
Meri dushwariyon par aasma'n aansu bahata hai,
Museebat hai mere sarpar nahi aaya mera asghar.

3)Bataoun kya har ek aahat pe mai to chauk jaati hun,
Mai ja ja kar daray-khaima se wapas laut aati hun,
Tiki hai bas nazar dar par nahi aaya mera asghar

5)Khamoshi hai udasi hai faza sunsan hai bibi,
Tumhare bhai ka jhoola bahut veeran hai bibi,
Sakina ay meri dukhtar nahi aaya mera asghar.

6)Na jane kis tarah se zindagi apni guzarungi,
Mai apne laal ko har dam tadapkar bas pukarungi,
Qayamat tooti hai dil par nahi aaya mera asghar

7)Mai apney lal asghar ki judayi seh na paoungi,
Guma'n hota hai jaise mai jaha'n me reh na paoungi,
Qarar aata nahi pal bhar nahi aaya mera asghar


8) Nigahon me hai nanha sa gala aur teere-seh shoba 
Tadapkar hashmi behne padhen 'Tauqeer' ye nauha

Post a Comment

0 Comments