Header Notification

ASHKE GHUME HUSSAIN NOHAY LYRICS 2018-19

Ashke ghume Hussain bahana sawaab hai
Majlis mein aakay rona rulana sawaab hai 
Bachchay ka gaahwaray me Rona ghamay Hussain
Daryaon me ye lehro ka uthna ghamay hussain
Sehraon me ghubar ka urna ghamay hussain
Maghrib me ye Shafaq ka obharna ghamay hussain
Her sheh ke dill me shah ka gham bay hisaab ha

Chauthay Imam kehtay hein ye baaday karbala
Ek Bar meray Baba kay gham me jo ro diya
Aanso ka ek Qatra, bhi ger aankh se gira 
Allah Aisay shakhs ki bakhshay ga her khata
Na kuch ataab us pe ha na kuch aazaab ha

Kehtay hein nahiya ki ziyarat me ye Imam
Jadday buzurgwar ay shabbir tashna kaam
Ghilmaan aur horeyn iliyeen me tammam
Rukh per tamachay maar k rotay hein sub mudaam
Firdos me bhi aapka gham bay hisaab ha

Kamil ki ye riwayate sadiq bhi deikheay
Ashkay ghamay Hussain Khuda ko Pasand hai
Jo chahta ha Zehra kay Haq ko ada karay
Laazim ha os pay roay wo gham me Hussain kay
Ashkay ghamay Hussain haqay bu Turab ha

Deikhain Bihar me yehi fermatay hein Raza
Ho jis jagha humaray fazaeyl ka tazkira
Ro ker sunnaya jaaey jaha zikray karbala
Koee bhi es terha ki jo majlis me jaeayga
Bus wo hi kamiyab Ba rozay hisaab ha

Chauthay Imam nay ye farazdaq se tha kaha
Ye daybal o kumait se fermatay thay Raza
Kehta ha jo Hussain ki Nusrat me Mersiya 
Roohul Ameen us ko madad kertay hein sada 
Dargahay haq me os ka qalam kamyaab ha

lo aa rahee hai Fatima zahra ki ye sada
meray ghareeb laal pay jo koi roye ga
us ka har aik ashk meray gham ki hai dawa
main us ko bakhshwaongee wada hai ye Mera
us k lye khula hua jannat ka baab hai 

Ha majlisay Hussain ka majid jo mertaba
Wo ha bashar ki soch aur idraak se siva 
Batlado subko mahum o Adeeya Saania 
Is majlisay Hussain me aatay hein umbiya
Her dushmanay AZA ki tu matti kharaab haI

Post a Comment

0 Comments