Header Notification

JAFAR (AS) KA JANAZA NOHAY LYRICS


Haye Jafar-e-Sadiq (x2)
Kazim utha rahe hein Jaffar ka janaza

Haye Hussain keh kar aansu baha rahe hein

Taboot ko utha kar, jitne qadam barhaaye
Har ek qadam pe unko, Sajjad yaad aaye
Aabid ki bebasi ka, nauha suna rahe hain

Kazim utha rahe hein Jafar ka janaza 

Mansoor ne ghiza me, zehr-e-jafa diya tha
Mazloom ke badan par, jiska asar huwa tha
Aflak se malaik, purse ko aa rahe hein

Kazim utha rahe hein Jafar ka janaza 

Nikla dahan se bahar, haye jigar jo kat kar
Khoon rang ho gaya tha, maula ka mere bista
Manzar ye ehle dil ke, dil ko dukha rahe hein

Kazim utha rahe hein Jafar ka janaza 

Haidar se dushmani ye, ab tak nahi ruki he
Maula Hasan se le kar, Jafar tak aa gayi he
Har ek charagh-e-zehra, zalim bujha rahe hein

Kazim utha rahe hein Jafar ka janaza 

Aulad-e-Sayyada me, aysa he ye janaza
Jisme Madine waley, dene ko aye pursa
Ehle Madina sare, ye gham mana rahe hein

Kazim utha rahe hein Jafar ka janaza 

Jafar ke zehn me bhi, Kazim ka he janaza
Mayyat utha ne wala, waris koi na hoga
Zere kafan bhi Jafar, khoon rote jaa rahe hein

Kazim utha rahe hein Jafar ka janaza 

Salman aur Mesum, dekha ye khwaab aksar
Bad-e-zahoor-e-Maula, Mehdi baqee me aa kar
Zehra ka aur inka, Rauza bana rahe hein

Kazim utha rahe hein Jafar ka janaza...

Post a Comment

0 Comments