Tajdar-e-Haram Ae Shahenshah-e-Deen
Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam
Ho Nigah-e-Karam Humpe Sultan-e-Deen
Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam
Door Reh Kar Na Dum Toot Jaaye Kaheen
Kash Taiba Main Ay Mere Mah-e-Mubeen
Dafan Honay Ko Mil Jaaye Do Gaz Zameen
Tumpay Har Dam Karoron Durood O Salam
Koi Husn-e-Amal Paas Mere Nahi
Phas Na Jaaon Qayamat Main Mola Kahin
Ae Shafee Ae Umam La’aj Rakhna Tumhi
Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam
Ho Nigah-e-Karam Humpe Sultan-e-Deen
Mout ke waqt kardo Nigha-e-karam
Kash is shan se ye nikal jaye dam
Sang-e-dar pe Tumhare ho meri jabeen
Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam
Ho Nigah-e-Karam Humpe Sultan-e-Deen
Ab Madina mein sab ko bula lejia
Aur sena madina bana dejia
Meher-e-Gousul bara Ae Imam-e-Mubeen
Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam
Phir Bulalo Madine Me Attar Ko
Ye Tarapta Hai Taiba Ke Deedar ko
Koi Iske Siwa Aarzu Hi Nahi
Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam
Ho Nigah-e-Karam Humpe Sultan-e-Deen
Tumpe Har Dam Karoron Durood O Salam
0 Comments