Header Notification

Ayam e Fatimiya Noha 2020 | Aap Ki Zehra | Nohay 2020 | Shahadat bibi fatima


Aap ki Zehra s.a pay yh kaisy Zamany aye.. Dekhyay log mery Ghar ko Jalany aye... 01. Jany soye thy Madinay kay muslaman kahan. jalta dar dekh k fizza s.a yahe krte the fughan Aag Derwazay ke koi tu bujhany aye.... 02. Pasliyan toot gain mujh pay gira darwaza, or Chalta howa darwazay pay zalim Guzra, Zakham pehlu pay mery kitnay na janay aye.. 03. Taziyana mery Bazu pay laga jab baba, aa gai yaad madinay main mujhy karbobala, yad Abbas s.a k kattay howy shanny aye. 04.Ghamzada mery gharany ko dilasa dynay, koi mohsin s.a ka mujhy aya na pursa dynay, log aye bhe tu bus dil ko dukhany aye... 05. Jab sy Bandhi gai Haider s.a k galay mea rassi, dekh kr zainab o kulsoom ko kehtay hain yehi, kash tum ko koi qaidi na bannay aye.. 06.Ashk is baat pay Ankhoun sy Bahye jaty hain, dekh ayi hoon main dabar kisay kehty hain, Yad zainab s.a ke aseeri kay zamany aye.. 07. Baap ke qabr pay akber wo yay keh kr roye, meri Ghurbat kay mera Bhai nahi hai koi, kon hai sath jo zehra s.a ka nibhany aye.

Post a Comment

0 Comments