Header Notification

Manqabat Mera Murshid Ali Maula 2019 lyrics

Mere Murshid Ali Maula


Zikr e Ali Naiki Hai Yaaro

Hai Yeh Zikr e Sahaba

Haider Maula har momin ka naara

Naara maar ke Haider

Jiye ja jiya ja

Ism e Aazam Hai Yeh Naara



Haider jab maidaan me aate

Dushman baaghte saare

Naam Ali ka sunn ke buzdil

Thar thar kaampte saare

Tere mukaabil jo aata

Dar jaata dar jaata dar jaata

Dab dabba hai tera aisa



Paida ho kar sab se pehlay

Chehra nabi ka dekha

Jab Aaqa ne aapko chooma

Manzar kaisa hoga

Jhoom ke dil ne kaha

Murshid murshid mera


Wah Qismat teri wah wah

Mah e Rajab ki 13veen aaee

Din Jummay ka aaya

Kabay mai hai kis ki wiladat

Sher khuda ka Aaya

Aaj Ali hai aaya ha aaya

Murtaza hai laqab jis ka


Aaqa ne aankho mai teri

Apna luaab lagaya

Khebar mai aaqa ne jhanda

haath mai tere thamaya

Aik hi baar khebar khebar ukhaara

Faateh hai Ali Maula



Shah e Mardaan tere dar pe

Ban ke bhikaari aaun

Tere dar ki matti ko mai

Apna surma banau

Nokari teri karu mere Murshid Maula

Yeh hai Irfan ka armaan

Post a Comment

0 Comments